Header AD

Android Mobile Ko Secure Kaise Rakhe – Hindi ?

 

Science Broker

Aaplogon ko article ke Tittle ( Android Mobile Ko Secure Kaise Rakhe – Hindi) sehi pata chal gya hoga ki is article me humlog kis topic pe baat krnge, to han humlog is article me dekhne wale hain ki Android Mobile Ko Secure Kaise Rakhe, Ajakl lagbhag har logo ke paas Smartphone hai aur us mobile me Personal Data, Important Documents, Important Information aur Personal Details hote hain, Aur sochiye ke apka mobile chori ho gya to aise me apke mobile ke Personal Data, Important Documents, Important Information aur Personal Details yesb galat hath ke lgne pe aap problem me aa skte hai.

Aplogon ko apne agr apna Personal Data, Important Documents, Important Information aur Personal Details kisi aur ke sath compromise nhi karna hai to apko apne Android Mobile Ko Secure rakhna hoga, to articke me humlog kuchh aise steps ke bare me baat karenge jisko follow kar ke aap apne Android Mobile Ko Secure rakh sakte hain.

Android Mobile Ko Secure rakhne ke liye in steps ko follow kren :

  1. Apna Lock Screen Set Karen
  2. Unsecure Network ko kabhi bhi join na kren
  3. Mobile men Storage Encryption ko set kren
  4. Kabhi bhi Unknown Sources ke Installation ko Allow na karen
  5. Mobile me Anti-Malware App ko Install kare
  6. Secure Update Scanner ko Install aur use kren
  7. Apps ke Permissions Listing ko zarur padhen
  8. SIM Card Lock ka Set Up karen
  9. Bluetooth aur Hotspot Services ko off hi rakhen jab aap iska use na kar rhen ho tab
  10. Location Settings ko tabhi on karen jab iski zarurat ho

1 – Apna Lock Screen Set Karen :

Maine bhut se logo ko dekha hai ki vo mobile me Screen Pasword use nhi krte hain, Ye bhut galat hai aur kuchh log use krte bhi hain to 1234 ya 0000 jaisa pasword dalte hain jo ki easily guess kiya ja skta hai. To sabse pahle to agr aap apne mobile ko secure karna chahte hain to apne mobile me Lock Screen Set Karen,

Apne mobile ke Screen ko Lock karne ke liye PIN/Pattern/Password kisi ka bhi use kar skte hain magr dhayan rhe jisse bhi kren bus vo easily guess hone wala nhi ho strong ho,

Agar apke mobile me Finger Print Lock feature hai to apne mobile me Lock Screen Set Karne ke liye Finger Print Lock kahi use karen.

Android Kya Hai?

2 – Unsecure Network ko kabhi bhi join na kren :

Kabhi bhi apne mobile ko Wireless Network ke sath join na kren, Jab bhi kabhi hume free WI-FI milta hai to humlog fatafat apna mobile connect kar ke Wi-Fi ko enjo krne lagte hain to aisa bilkul nhi krna hai abse, Agr aap apne Android Mobile Ko Secure rakhna chahte hain to abse bina password wale Wireless Network ke sath join na kren, aisa krne se apka Sensitive Data ( Personal Data, Important Documents, Important Information aur Personal Details ) koai chori kar skta hai.

To agr apne Android Mobile Ko Secure rakhna hai to kabhi bhi Unsecure Network ko kabhi bhi join na kren.

3 – Mobile men Storage Encryption ko set kren :

Jo log apne Mobile Ko Security ko lekr bhut zyada pagal hai volog apne mobile me Encryption Setup kar skte hain, Jabkoai apne mobile me Storage Encryption setup karta hai to uska mobile aur zyada Secure ho jata hai qki uske baad mobile ka use krne ke liye bhi Encryption Pasword ki zarurt padegi,

Encryption Setup jo hai vo Lock Screen Setup se zyada strong hota hai, Yahan pe ye zarur dhayan rakhen ki agr aap apne mobile me Encryption Setup kar rhe hain to Encryption Pasword yaad rahe agr aap Encryption Pasword bhul gye to aap apne data ko access nhi kar payenge.

Android Ke Liye Best Password Manager App

4 – Kabhi bhi Unknown Sources ke Installation ko Allow na karen :

Apko kuchh Third Party Application mil sakte hain, Jinko aap apne Androide Mobile me install karna chahte hon jo Google Play Store ka hissa nhi hai to apko apne Android Mobile Ko Secure rakhne ke liye un Third Party Application jo Google Play Store ka hissa nhi hai use apne mobile me install nhi karna hai,

Waise to zaydatar mamlon me ye thik hai lekin agr aap us ek app ke liye apne mobile ke ( Personal Data, Important Documents, Important Information aur Personal Details ) ke sath smjhauta nhi hi karna chahenge kiyun ki ye apps pe aap 100 percent trust nhi kar skte hain.

To apko waisa Third Party Application mile jo Google Play Store ka hissa nhi hai to apko apne Android Mobile Ko Secure rakhne ke liye un Third Party Application ko install nhi karna hai.

5 – Mobile me Anti-Malware App ko Install kare :

Aap apne Android Mobile Ko Secure rakhne ke liye Google Play Store se Best free Android Antivirus App ko bhi download kar sakte hain Antivirus App ko download karna aur use regularly use karna apke mobile ke liye achha sabit ho skta hai, Antivirus App apko mobile ko protection de skta hai.

Best Free Android Antivirus Apps

6 – Secure Update Scanner ko Install aur use kren :

Secure Update Scanner ko unusual security risk se bachne ke liye create kiya gya hai, uske baad isme malware ko add kiya gya is app me to, To aap ise install kijye aur ise regularly run kijye, khas kar jab aap kisi appliction ko update ya install kar rhe hain usse pahle is tool ko zarur run kijye.

7 – Apps ke Permissions Listing ko zarur padhen :

Kabhi ki kisi bhi application ki Permissions Listings ko bina padhe huye install na karen, Agar aap apne mobile me koai Game ya fir simple note-taking app ko download kar rhe hain jo cloud service se connect nhi ho rha hai, jisme apke contacts, phone aur networking ki information ki access chahiye to use aap aap jaldi me Allow Allow krte chale jate hain, to aisa nhi krna hai use deny krna hai.

Apko apne Android Mobile Ko Secure rakhne ke liye Apps ke Permissions Listing ko zarur padhena padega qki ye apke sirdardi ka aur data loss ka reson ban skta hai, Apps ke Permissions Listing ko padhne me apka bhut kam time jyega to ise zarur padh len.

8 – SIM Card Lock ka Set Up karen :

Banking se related ya zayada tar aise importent kaam hote hain jisse apke number pe pin ate hain, jab aap use dalte hai tabhi apka kaam hota hai to aise me agr kisi ko apka SIM hath lag gya to vo apke person data ka miss use kar skta hai, agr aap apne device me SIM Card Lock ka Set Up kar skate hai, Jisse aap jab bhi apna device on krenge to SIM Card Pin dalna hoga, Usse hoga ye ki apka Android Mobile Security aur badh jyegi.

Android me Duplicate Contacts ko Remove kaise kare

9 – Bluetooth aur Hotspot Services ko off hi rakhen jab aap iska use na kar rhen ho tab :

Jab apke mobile me Bluetooth aur Hotspot Services on rahte hain tab other devices apko phone ko dekh sakte hain, Iska matlb hai aap security breaches ke liye open hai to apko aisa nhi karna hai, Jab aap Bluetooth aur Hotspot Services ko use nhi kar rhe hai to apko running rehte huye nhi chhodna hai, Aur ye apke mobile battery ko bhi down krte hain jab ye running me rehte hain, to ise off hi rakhen jab aap iska use na kar rhen ho tab,

To apko agr apna Android Mobile Ko Secure rakhna hai to Bluetooth aur Hotspot Services ko off hi rakhen jab aap iska use na kar rhen ho tab.

Best Battery Saver App

10 – Location Settings ko tabhi on karen jab iski zarurat ho :

Agr apka kaam khatm ho gya hai aur jis time Location ka koai use nhi hai to ise band kar den, ye apke Android Mobile Ko Secure rkhne me help krega, aur ye apke battery ko bhi down hone se bachata hai, to aap Location Settings ko tabhi on karen jab iski zarurat ho.

Hidden Android Setting Jise aapko janna Chahye

To ye the kuchh tips jisko follow kar ke aap apna Android Mobile Ko Secure rakh skte hain, aur aap apna Personal Data, Important Documents, Important Information aur Personal Details loss hone se bacha skte hain.

Hame umeed hai ke aapke liye ye post useful hoga. Isi tarah ki aur bhi jankari ke liye aap hamare blog ko aage bhi padhte rahe.

Previous Post Next Post

ads

Post ADS 1

ads

Post ADS 1