Header AD

Search Engine Kaise Kaam Karta Hai?

Search result me show hone ke liye kisi bhi content ko sab se pahle search engine ke liye visible hona hota hai. Ye sab se important hai ke aapka content search engine ke liye visible ho. Agar aapka site search engine ke liye visible nahi hai to aapke content ko  SERPs (Search Engine Results Page) pe show hone ka koi bhi dusra rasta nahi hai. Is post me hum aapko batayenge ek search engine kya hai aur search engine kaise kaam karta hai? To chalye sab se pahle dekhte hai ke search engine kya hai?

search engine kya hai aur search engine kaise kaam karta hai?

Search Engine Kya Hai?

Search engine ka use hum internet pe kuch search karne ke liye karte hai. Ye mainly do chizon se mil kar bana hai- information ke database aur algorithms jo ye decide karta hai ke kisi query ke liye kaun se result ko return aur rank karna hai. Jaise ke Google.

Google search engine internet pe kuch bhi dhundhne ke liye sab se zyada use kiye jane wala search engine hai. Search engine ke bina internet ke content hamare liye inaccessible hote hai.

Search Engine Kaise Kaam Karta Hai?

Kisi bhi site ko Search Engine Results Page me visible hone ke liye search engine ko kuch functionality perform karni hoti hai. Kisi bhi search engine ke teen main functions hote hai: crawling (content ko discover karna), indexing (content ko track aur store karna), aur Ranking ( result ko most relevant se least relevant order me place karna.)

Jub aap kuch search karte hai to search engine matching pages ko return karta hai aur algorithn unhe relevance ke according rank karta hai.

search engine machanism
  • Scheduling: Scheduler naye aur known URL ke importance ka andaza lagata hai. Aur phir uske baad ye decide karta hai ke us URL ko Kab aur phir baar baar kitni jaldi crawl karna hai.
  • Crawling:  Crawler ek computer program hai jo web pages ko download karta hai. Search engine regularly known pages ko re-crawl kar ke new pages ko discover karta hai.
  • Parsing: Parser link ko page se dusre key information ke sath extract karta hai. Aur phir ye extracted URLs ko scheduler ko aur extracted data ko indexing ke liye bhejta hai.
  • Indexing: Indexing wah jagah hai kaha pe crawl kiye gaye pages se mile information ko ek dataase me add kiya jata haijise search index kaha jata hai.

Web index ko build karne ke liye jis machanism ko search engine follow karta hai usme scheduling, crawling, parsing, and indexing shamil hai.

Search Engines Web Ko CrawKaise Karta hai?

How search engine works

Crawling search engine ka discovery process hai jisme search engine kuch set of Robots jise crawler ya spider kaha jata hai use new aur updated content ko dhundhne ke liye bhejta hai.

Content image, video, webpages, pdf kuch bhi ho sakte hai. In contents, ko crawler link ki help se discover karta hai.

Googlebot discovery ke process ko start karne ke liye kuch known webpages ko select karta hai aur phir un webpages pe available links ko follow kar ke naye URL ko find karta hai. Page pe available new links ko follow kar ke Googlebot new content ko find karta hai aur use apne Index me add kar deta hai.

Index Google ka wo database hai jaha pe Google new contents ko search kar ke unhe store karta hai. Aur user ke query search kiye jane pe relevant result ko yahi se leta hai.

Indexing Kya hai?

Search engine me Indexing tab perform hota hai jub crawl kiye gaye data ko process kar ke database me dala jata hai. Simple word me kahe to indexing web pages ko Google search me add karne ka process hai. Aapke page pe Google ko crawl karne ke liye kaun sa meta tag use kiya hai (index ya no-index) Google isi dekh kar aapke site ko crawl aur index karta hai.

Agar aapne no-index tag ka use kiya hoga to Google aapke site ko crawl aur index nahi karega. Isliye agar aap apne site ko Google me index aur rank karna chahte hai to aapko apne site pe index tag ka use karna chahye.

Search Engine Ranking Kya Hai?

Ye search engine working ka final stage hai jisme search engine ek particular order me sabse useful aur relevant content ko display karta hai. Search result ko improve karne ke liye Google algorithm ka use karta hai taki user tak sirf genuine information pahunch sake.

Google ya dusre search engine bahut sare ranking factors ke base pe relevant information ko judge karta hai. Google abhi rank brain algorithm joki ek ek ArtificialIntelligence based machine learning system hai, isi ki help se apne user ko sabse relevant information display karta hai.

Jub search engine pe log kuch bhi search karte hai to search engine apne index me present content ke score ke base pe sabse relevant content ko display karta hai. Search engine SERP me result ko ek order me relevance ke base pe display karta hai usi ko ranking kahte hai.

Simple word me kahe to jitna high-rank Google ya koi bhi search engine kisi bhi website ko karta hai Google ya dusre search engine ke liye wo utna hi us query ke liye relevant hota hai.

Agar aap chahte hai ke aapke website ke kuch pages ko search engine crawl na kare to aap no follow tag ka use kar ke search engine ko instruct kar sakte hai ke wo aapke pages ko crawl na kare.

Lekin agar aap chahte hai ke aapka content searchers ke liye accessible ho to aapko apne content ko crawler ke liye accessible banana hoga.

Google me high position pe rank karne ke liye kuch important Google ranking factors hai jinhe aapko follow karna hoga. Aap in factors ko follow kar ke apne website ko high position pe rank kar sakte hai.

Google pe high-rank pane ke liye aapko apne website ke SEO factors ka dhyan rakhna hoga.

Ummid hai aapko search engine working ka ye article (search engine kya hai aur search engine kaise kaam karta hai?) informative laga hoga. Agar aapka koi swaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (WordPress in Hindi) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.


أحدث أقدم

ads

Post ADS 1

ads

Post ADS 1