Cloud computing ek aise technology hai jisme different services ko internet ke zarye se deliver kiya jata hai. In resources, me bahut sare tools aur applications shamil hote hai jaise data storage, servers, databases, networking, aur software. Software aur analytics se lekar secure aur safe data storage aur networking resources tak sab kuch internet pe deliver kiya jata hai. To chalye jante hai ke cloud computing kya hai aur ye kaise kaam karta hai?
Cloud Computing Kya Hai?
Is technology ki help se hum apne files ko hard drive ya local storage device me rakhne ke bejay hum cloud-based storage me store karte hai joki ise remote database me save karne ke liye allow karta hai. Jub tak aapka electronic device web ko access kar sakta hai tab tak aapke cloud me save kiye gaye information ko aap access kar sakte hai.
Cloud computing me hum data ko access karne se lekar data ko store karne tak sare kaam network pe hi karte hai. Bina internet ke hum is technology ka use hum nahi kar sakte hai. Is technology ke use se hame apne device me hard drive use karne ki zaroorat nahi hoti hai.
Cloud computing ke internet based computing hone ki wajah se hum isme dusre device ko zaroorat parne pe resource share kar sakte hai.
Yahan information ko physical server pe store kiya jata hai jise cloud computing provider maintain aur control karte hai.
Cloud me store kiye gaye information ko kisi bhi location pe access kiya ja sakta hai aur apne device pe download kiya ja sakta hai.
High computing power, low cost service, high performance, scalable, accessibility aur availability jaise feature ki wajah se cloud computing zyada demand wali service ban gayi hai.
Cloud Computing Kaam Kaise Karta Hai?
Cloud computing physical server pe information aur software ko store karta hai. Ise server provider ke through control kiya jata hai.
Cloud me do layer hote hai ek front end aur dusra backend. Front end wo layer hai jise humlog dekh sakte hai aur isi layer ke sath hum interact karte hai. Aur backend hardware aur software ka architecture hota hai jo hame front ko hamare liye visible banane me madad karta hai.
Cloud resources tak access gain karne aur different devices se connect hone ke liye network layer ka use karta hai. Cloud technology users company ke network ya internet facilities ke zarye se data center ka use kar sakte hai.
Cloud computing system me workload ko shift karne ka mechanism perform kiya jata hai. Local computer ko applications ko run karne ke liye lifting operations ko perform nahi karna parta hai.
Cloud technology is heavy loaded task ko automatically easily aur efficiently handle kar leta hai. is wajah se is technology me hardware aur software ke demand ka demand kam ho jata hai.
Yaha pe sirf ek chiz jiske bare me user ko sochna hai wo hai system ka cloud computing interface software, Jo user ke front end me web-browser ki tarah kaam karta hai. Cloud ka network baqi chizon ko back-end me automatically manage kar leta hai aur back-end virtual network ya internet se connected hota hai.
Cloud Computing Ke Types
Cloud computing ke mainly 3 type hai Infrastructure as a Service, Platform as a Service, aur Software as a Service. Har ek type ke cloud computing me different levels ka control, flexibility, aur management provide kiya jata hai taki aap apne zaroorat ke hisab se sahi dhang ke service ko select kar sake.
Infrastructure as a Service (IaaS)
IaaS on-demand infrastructure provide karti hai, jisme network storage aur computer shamil hai jo aapke workload ko kam karti hai. Is service me aapko highest level ki flexibility aur management control provide ki jati hai. Is service ka use aap apne business ke liye kar sakte hai.
Platform as a Service (PaaS)
Is model me company cloud provider se servers aur storage ko rent pe leti hai. Wo phir in cloud infrastructure ka use apne applications ko build karne ke liye karte hai.
PaaS company ek full development environment provide karti hai jahan pe software ko built, tested, aur deploye unke predetermined constraints ke andar kiya jata hai.
Ye feature customer ko infrastructure ke additional concern ki jagah business aur product ki creativity pe dhyan dene free karta hai.
Software-as-a-Service (SaaS)
Is serice ko aam taur pe business ke liye use kiya jata hai. Is model me user apne device pe application ko install karne ke bajaye SaaS applications ko cloud servers pe host kiya jata hai aur user unhe internet pe access karte hai.
Cloud Services Ke Examples
- Amazon Web Services (AWS)
- Google App Engine
- Microsoft OneDrive
- Google Calendar:
Cloud Computing Ke Advantages aur Disadvantages
Advantages
- Cost Savings: Cloud computing me companies ke shift hone ke sab se bada reason cost hai kyuki ye kisi bhi dusre technology ke comparison me kafi cost me kam hota hai.
- High speed: Cloud Computing kuch hi click me service ko start kar deta hai, isliye jub bhi aap service start karna chahte hai to kuch hi minute me aapke system ke liye required resources mil jata hai.
- Security: Aapke information ko secure karne ek liey cloud service providor best security standards provide karte hai.
- Back-up and restore data: Ek baar cloud pe data ko store karne ke baad aap data ko easily back-up aur recover kar sakte hai.
- Automatic Software Integration: Cloud me aapko Automatic Software Integration ki facility milegi.
Disadvantages
- Technical Issues: Cloud technology me hamesha technical issues ki problem hoti hai. Yaha tak ke best cloud service provider companies ko bhi is problem ko high standards maintenance ke bawajood face karna parta hai.
- Security Threat: Dusra drawback cloud computing services ke sath kaam karne ka ye hai ke yaha pe security risk hota hai. Cloud technology ko adopt karne se pahle aapko un tamam fact ke bare me pata hona chhaye kyuki aap apne company ke sensitive information ko kisi third party se share kar rahe hai, hackers is jankari tak pahunch sakte hai.
- Internet Connectivity: Cloud computing services ko use karne ke liye ek accha Internet connectivity zaroori hai. Internet connectivity ke bina aap cloud ko access nahi kar sakte hai.
- Lower Bandwidth: Bahut sare cloud storage service apne user ke liye limit bandwidth usage provide karte hai. Isliye aapka organization given allowance ko surpass karta hai to additional charges kafi mahnga ho sakta hai.
- Lacks of Support: Cloud Computing companies apne user ko proper support provide karne me fail rahi hai. Wo chahte hai ke unke user FAQs ya online help pe depend ho. Joki non-technical persons ke liye ek mushkil kaam ho sakta hai.